Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guman taswir karne lag gaya hun

Asim Wasti

guman taswir karne lag gaya hun

Asim Wasti

MORE BYAsim Wasti

    gumāñ tasvīr karne lag gayā huuñ

    havā meñ rang bharne lag gayā huuñ

    mire andar bachcha mar rahā hai

    maiñ ā.inda se Darne lag gayā huuñ

    tirā aanā na aanā tai nahīñ hai

    magar banñe-sañvarne lag gayā huuñ

    biThāte kyoñ ho sar āñkhoñ pe mujh ko

    agar dil se utarne lag gayā huuñ

    mujhe āgāh rahnā aa gayā hai

    tujhe mahsūs karne lag gayā huuñ

    ye rasta 'aam ho jā.egā 'āsim'

    idhar se maiñ guzarne lag gayā huuñ

    guman taswir karne lag gaya hun

    hawa mein rang bharne lag gaya hun

    mere andar ka bachcha mar raha hai

    main aainda se Darne lag gaya hun

    tera aana na aana tai nahin hai

    magar banne-sanwarne lag gaya hun

    biThate kyon ho sar aankhon pe mujh ko

    agar dil se utarne lag gaya hun

    mujhe aagah rahna aa gaya hai

    tujhe mahsus karne lag gaya hun

    ye rasta 'am ho jaega 'asim'

    idhar se main guzarne lag gaya hun

    Source :
    • Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 72)
    • Author : Asim Wasti
    • Publication : Rekhta Publications (2020)
    • Edition : 2nd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now