Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghurbat ka ab mazaq uDane lage hain log

Mohammad Ali Sahil

ghurbat ka ab mazaq uDane lage hain log

Mohammad Ali Sahil

MORE BYMohammad Ali Sahil

    ġhurbat ab mazāq uḌāne lage haiñ log

    daulat ko sar taaj batāne lage haiñ log

    tahzīb-e-shahr kitnī badal hai vaqt ne

    apnī rivāyatoñ ko bhulāne lage haiñ log

    allāh un aql pardā zarā haTā

    phir apnī beTiyoñ ko jalāne lage haiñ log

    had ho chukī hai ab to mire inkisār

    kamtar samajh ke mujh ko satāne lage haiñ log

    ilzām saarā apne muqaddar pe Daal kar

    nākāmiyoñ ko apnī chhupāne lage haiñ log

    sachchā.ī alam mire hāthoñ meñ dekh kar

    bastī meñ kitnā shor machāne lage haiñ log

    maujoñ se laḌte laḌte jo sāhil tak aa gayā

    ehsān us pe apnā jatāne lage haiñ log

    ghurbat ka ab mazaq uDane lage hain log

    daulat ko sar ka taj batane lage hain log

    tahzib-e-shahr kitni badal di hai waqt ne

    apni riwayaton ko bhulane lage hain log

    allah un ki aql ka parda zara haTa

    phir apni beTiyon ko jalane lage hain log

    had ho chuki hai ab to mere inkisar ki

    kamtar samajh ke mujh ko satane lage hain log

    ilzam sara apne muqaddar pe Dal kar

    nakaamiyon ko apni chhupane lage hain log

    sachchai ka alam mere hathon mein dekh kar

    basti mein kitna shor machane lage hain log

    maujon se laDte laDte jo sahil tak aa gaya

    ehsan us pe apna jatane lage hain log

    Source:

    Kirdaar (Pg. 98)

    • Author: Mohammed Ali Sahil
      • Edition: 2014
      • Publisher: Voice Publication
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now