Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghurbat ke ranj faqa-kashi ke malal khinch

Dagh Dehlvi

ghurbat ke ranj faqa-kashi ke malal khinch

Dagh Dehlvi

MORE BYDagh Dehlvi

    ġhurbat ke ranj fāqa-kashī ke malāl khīñch

    ai 'dāġh' par zamāne se dast-e-savāl khīñch

    nāzuk bahut hai rishta-e-ulfat na TuuT jaa.e

    itnā na apne aap ko ai mah-jamāl khīñch

    ho jaa.e na tā.ir-e-dil tarah asiir

    sayyād apnī samt ko āhista jaal khīñch

    khīñchī thī jab musavvir-e-qudrat ne dil shakl

    kahtā ye kaun na ise be-ḳhayāl khīñch

    vo ThanDe ThanDe chain se ghar ko chale ga.e

    le aur āh-e-sard dil-e-pur-malāl khīñch

    nāseh qimār-gāh-e-mohabbat meñ na haar

    dil ko lagā ke naf.a uThā ḳhuub maal khīñch

    ai 'dāġh' jazb-e-ishq dekheñge ab kashish

    us kashīda-rū ne to ham se kamāl khīñch

    ghurbat ke ranj faqa-kashi ke malal khinch

    ai 'dagh' par zamane se dast-e-sawal khinch

    nazuk bahut hai rishta-e-ulfat na TuT jae

    itna na apne aap ko ai mah-jamal khinch

    ho jae tu na tair-e-dil ki tarah asir

    sayyaad apni samt ko aahista jal khinch

    khinchi thi jab musawwir-e-qudrat ne dil ki shakl

    kahta ye kaun tu na ise be-KHayal khinch

    wo ThanDe ThanDe chain se ghar ko chale gae

    le aur aah-e-sard dil-e-pur-malal khinch

    naseh qimar-gah-e-mohabbat mein ji na haar

    dil ko laga ke nafa uTha KHub mal khinch

    ai 'dagh' jazb-e-ishq ki dekhenge ab kashish

    ki us kashida-ru ne to hum se kamal khinch

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now