Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghurur-e-husn-o-jafa us ka sab shunida tha

Iqbal Mateen

ghurur-e-husn-o-jafa us ka sab shunida tha

Iqbal Mateen

MORE BYIqbal Mateen

    ġhurūr-e-husn-o-jafā us sab shunīda thā

    magar vo sāmne aayā to ābdīda thā

    vo shab shab mire har pyaar javāb rahā

    sahar huī to vahī shaḳhs kuchh kashīda thā

    mujhe qubūl ki thā be-hisāb us karam

    use bhī 'ilm ki dāman mirā darīda thā

    libās tan pe thā ḳhūñ-gashta-e-anā dil thā

    vo ab bhī zinda to thā haa.e sar-burīda thā

    ġhamoñ ke saath mohabbat ke kitne pechāñ the

    ġhamoñ saath magar dast-e-nā-rasīda thā

    vo e.atibār-e-hunar saath kyoñ liye phirtā

    ki us jholī meñ har lafz nā-chashīda thā

    ghurur-e-husn-o-jafa us ka sab shunida tha

    magar wo samne aaya to aabdida tha

    wo shab ki shab mere har pyar ka jawab raha

    sahar hui to wahi shaKHs kuchh kashida tha

    mujhe qubul ki tha be-hisab us ka karam

    use bhi 'ilm ki daman mera darida tha

    libas tan pe tha KHun-gashta-e-ana dil tha

    wo ab bhi zinda to tha hae sar-burida tha

    ghamon ke sath mohabbat ke kitne pechan the

    ghamon ka sath magar dast-e-na-rasida tha

    wo eatibar-e-hunar sath kyon liye phirta

    ki us ki jholi mein har lafz na-chashida tha

    Source:

    Shair (Pg. 15)

      • Publisher: Nazir Noman Siddiqui
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now