Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghurur-e-naz dikha tujh mein kitna jauhar hai

Ghaus Mohammad Ghausi

ghurur-e-naz dikha tujh mein kitna jauhar hai

Ghaus Mohammad Ghausi

MORE BYGhaus Mohammad Ghausi

    ġhurūr-e-nāz dikhā tujh meñ kitnā jauhar hai

    mirā ḳhulūs bhī dariyā nahīñ samundar hai

    parakh yahī hai mohabbat aañch do us ko

    pighal gayā to vo shīsha hai varna patthar hai

    ḳhalā-navard ko yaaro farāz-e-manzil kyā

    ki ab to us har ik par bajā.e shahpar hai

    adāvatoñ ko fanā kar diyā mohabbat se

    mujāhide meñ mohabbat apnā ḳhanjar hai

    subūt-e-bai.at-e-pīr-e-haram ye hai to sahī

    ki aaj tak kaf-e-dast-rasā munavvar hai

    mujhe zarūrat-e-ġhāza nahīñ ki chehre par

    mire zamīr jo rañg hai ujāgar hai

    sitāra-e-sahar-āsār hai jo ai 'ġhausī'

    ġhubār-basta abhī us pesh-manzar hai

    ghurur-e-naz dikha tujh mein kitna jauhar hai

    mera KHulus bhi dariya nahin samundar hai

    parakh yahi hai mohabbat ki aanch do us ko

    pighal gaya to wo shisha hai warna patthar hai

    KHala-naward ko yaro faraaz-e-manzil kya

    ki ab to us ka har ek par bajae shahpar hai

    adawaton ko fana kar diya mohabbat se

    mujahide mein mohabbat hi apna KHanjar hai

    subut-e-baiat-e-pir-e-haram ye hai to sahi

    ki aaj tak kaf-e-dast-rasa munawwar hai

    mujhe zarurat-e-ghaza nahin ki chehre par

    mere zamir ka jo rang hai ujagar hai

    sitara-e-sahar-asar hai jo ai 'ghausi'

    ghubar-basta abhi us ka pesh-manzar hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 729)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now