ghurur-e-pas-e-riwayat badal ke rakh dunga
ġhurūr-e-pās-e-rivāyat badal ke rakh dūñgā
maiñ raftagāñ kī sharī.at badal ke rakh dūñgā
gadā-e-ilm huuñ niklā to phir qarīne se
tumhārā tarz-e-tarīqat badal ke rakh dūñgā
salāh-e-dost sharāfat se maan le varna
maiñ ye libās-e-sharāfat badal ke rakh dūñgā
jo ahd-e-rafta se jā.ūñgā raftagāñ kī taraf
to phir sukūn se vahshat badal ke rakh dūñgā
maiñ is zamīn se jis roz uTh gayā 'aḳhtar'
to āsmān kī hālat badal ke rakh dūñgā
ghurur-e-pas-e-riwayat badal ke rakh dunga
main raftagan ki shariat badal ke rakh dunga
gada-e-ilm hun nikla to phir qarine se
tumhaara tarz-e-tariqat badal ke rakh dunga
salah-e-dost sharafat se man le warna
main ye libas-e-sharafat badal ke rakh dunga
jo ahd-e-rafta se jaunga raftagan ki taraf
to phir sukun se wahshat badal ke rakh dunga
main is zamin se jis roz uTh gaya 'aKHtar'
to aasman ki haalat badal ke rakh dunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.