gunga hai ishq phir bhi ye qaul-o-qarar dekh

gunga hai ishq phir bhi ye qaul-o-qarar dekh
Sham Lal Roshan Dehlvi
MORE BYSham Lal Roshan Dehlvi
gūñgā hai 'ishq phir bhī ye qaul-o-qarār dekh
āñkhoñ meñ chal rahe haiñ vo urgent taar dekh
hākim kā ruḳh na dekh su-e-pesh-kār dekh
pahle tū apnī jeb magar bār-bār dekh
marne se dugnī chaugunī paidā.isheñ haiñ aaj
hindostāñ pe rahmat-e-parvardigār dekh
ai husn kyā huiiñ vo tirī parda-dāriyāñ
saḌkoñ pe aa gayā hai tirā ishtihār dekh
le kar vo aa.e barq-e-tajallī to kyā huā
chashma lagā ke dhuup kā be-iḳhtiyār dekh
mushkil meñ hai tabīb ki hai 'ishq lā-'ilāj
aur husn kah rahā hai ki merā buḳhār dekh
yā dāḳhle kā de unheñ yā maut kā ticket
queue meñ khaḌe haiñ kitne hī ummīd-vār dekh
tū jis ko muñh lagā.e mujhe us kī qadr hai
maiñ pī rahā huuñ ye tirā jhūTā cigar dekh
'raushan' sharāb-ḳhāne se tū ruuTh kar na jā
saaqī pukārtā hai tujhe bār-bār dekh
gunga hai 'ishq phir bhi ye qaul-o-qarar dekh
aankhon mein chal rahe hain wo urgent tar dekh
hakim ka ruKH na dekh su-e-pesh-kar dekh
pahle tu apni jeb magar bar-bar dekh
marne se dugni chauguni paidaishen hain aaj
hindostan pe rahmat-e-parwardigar dekh
ai husn kya huin wo teri parda-dariyan
saDkon pe aa gaya hai tera ishtihaar dekh
le kar wo aae barq-e-tajalli to kya hua
chashma laga ke dhup ka be-iKHtiyar dekh
mushkil mein hai tabib ki hai 'ishq la-'ilaj
aur husn kah raha hai ki mera buKHar dekh
ya daKHle ka de unhen ya maut ka ticket
queue mein khaDe hain kitne hi ummid-war dekh
tu jis ko munh lagae mujhe us ki qadr hai
main pi raha hun ye tera jhuTa cigar dekh
'raushan' sharab-KHane se tu ruTh kar na ja
saqi pukarta hai tujhe bar-bar dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.