gunjegi mahfilon mein ab shairi hamari
gūñjegī mahfiloñ meñ ab shā'irī hamārī
ġhazloñ meñ apnī barpā hai ḳhāmushī hamārī
chehre pe muskurāhaT dil meñ hai be-qarārī
yuuñ chhup ke ro rahī hai phir be-kasī hamārī
saaya bhī chhup gayā ab tanhā.iyāñ haiñ aisī
kis moḌ par le aa.ī hai zindagī hamārī
ham ne sameT lī haiñ bikhrī huī du'ā.eñ
dil meñ kahīñ chhupī hai vo sādgī hamārī
saaya thā raushnī meñ palkoñ pe thā añdherā
siine meñ aaj bhī hai vo raushnī hamārī
gunjegi mahfilon mein ab sha'iri hamari
ghazlon mein apni barpa hai KHamushi hamari
chehre pe muskurahaT dil mein hai be-qarari
yun chhup ke ro rahi hai phir be-kasi hamari
saya bhi chhup gaya ab tanhaiyan hain aisi
kis moD par le aai hai zindagi hamari
hum ne sameT li hain bikhri hui du'aen
dil mein kahin chhupi hai wo sadgi hamari
saya tha raushni mein palkon pe tha andhera
sine mein aaj bhi hai wo raushni hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.