guzar gai jo wo sarab si lagi
guzar ga.ī jo vo sarāb sī lagī
ye zindagī hameñ 'azāb sī lagī
sajā liyā hai chuum kar lo taaq par
kahānī 'ishq kī kitāb sī lagī
ye sochtī haiñ lahreñ chāñd leñgī chhū
ye baat qurbatoñ kī ḳhvāb sī lagī
nikaltā huuñ makāñ se sirf raat ko
haañ raushnī bhī ab hisāb sī lagī
bharosā kiije ham pe ek martaba
ye aarzū baḌī ḳharāb sī lagī
guzar gai jo wo sarab si lagi
ye zindagi hamein 'azab si lagi
saja liya hai chum kar lo taq par
kahani 'ishq ki kitab si lagi
ye sochti hain lahren chand lengi chhu
ye baat qurbaton ki KHwab si lagi
nikalta hun makan se sirf raat ko
han raushni bhi ab hisab si lagi
bharosa kije hum pe ek martaba
ye aarzu baDi KHarab si lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.