Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guzar gaya jo nazar se nazar ka hissa hai

Om Prabhakar

guzar gaya jo nazar se nazar ka hissa hai

Om Prabhakar

MORE BYOm Prabhakar

    guzar gayā jo nazar se nazar hissa hai

    shajar se uḌtā parinda shajar hissa hai

    tumhārā dard agar dard-e-nā-rasā.ī hai

    tumhārā dard hamāre jigar hissa hai

    na vo tumhāre yahāñ hai na vo hamāre yahāñ

    udaas chūlhā kaho kis ke ghar hissa hai

    jahāñ ke log ḳhudā ke karam pe zinda haiñ

    ilāqa vo bhī hamāre nagar hissa hai

    safar safar hai safar meñ paḌāv kyā ma.anī

    tirā vajūd tirī rahguzar hissa hai

    banā rahe jo hamesha vo ghar banā nahīñ

    makāñ tumhārā tumhāre safar hissa hai

    guzar gaya jo nazar se nazar ka hissa hai

    shajar se uDta parinda shajar ka hissa hai

    tumhaara dard agar dard-e-na-rasai hai

    tumhaara dard hamare jigar ka hissa hai

    na wo tumhaare yahan hai na wo hamare yahan

    udas chulha kaho kis ke ghar ka hissa hai

    jahan ke log KHuda ke karam pe zinda hain

    ilaqa wo bhi hamare nagar ka hissa hai

    safar safar hai safar mein paDaw kya mani

    tera wajud teri rahguzar ka hissa hai

    bana rahe jo hamesha wo ghar bana hi nahin

    makan tumhaara tumhaare safar ka hissa hai

    Source:

    (Pg. 80)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now