Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guzar jaenge ye din bebasi ke

Shobha Kukkal

guzar jaenge ye din bebasi ke

Shobha Kukkal

MORE BYShobha Kukkal

    guzar jā.eñge ye din bebasī ke

    zamāne lauT ā.eñge ḳhushī ke

    uTho aur bandagī kar lo ḳhudā

    guzar jaa.eñ na lamhe bandagī ke

    ḳhudā zaat par rakkheñ bharosa

    bharegā vo ḳhazāne har kisī ke

    hamesha vāsta nekī se rakhnā

    na jaanā paas hargiz tum badī ke

    huī hai sham.a gul ab pyaar vaalī

    jaleñ kaise diye ab zindagī ke

    bharosa hai ḳhudā rahmatoñ par

    to kyuuñ phailā.eñ haath aage kisī ke

    ḳhudā mahfūz rakkhe har balā se

    chalan achchhe nahīñ haiñ is sadī ke

    nazar nīchī ye māthe matānat

    maiñ qurbāñ aap us sādgī ke

    guzar jaenge ye din bebasi ke

    zamane lauT aaenge KHushi ke

    uTho aur bandagi kar lo KHuda ki

    guzar jaen na lamhe bandagi ke

    KHuda ki zat par rakkhen bharosa

    bharega wo KHazane har kisi ke

    hamesha wasta neki se rakhna

    na jaana pas hargiz tum badi ke

    hui hai shama gul ab pyar wali

    jalen kaise diye ab zindagi ke

    bharosa hai KHuda ki rahmaton par

    to kyun phailaen hath aage kisi ke

    KHuda mahfuz rakkhe har bala se

    chalan achchhe nahin hain is sadi ke

    nazar nichi ye mathe ki matanat

    main qurban aap ki us sadgi ke

    Source:

    Rehguzar (Pg. 52)

    • Author: Shobha Kukkal
      • Edition: 2012-2013
      • Publisher: Kalpant publication B-2 Mansrovar park shahdra delhi-32
      • Year of Publication: 2012-2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now