Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guzar rahi hai judai jo tujh pe shaq to dekh

Kashif Shakeel

guzar rahi hai judai jo tujh pe shaq to dekh

Kashif Shakeel

MORE BYKashif Shakeel

    guzar rahī hai judā.ī jo tujh pe shaaq to dekh

    kabhī kabhī varā-e-had-e-firāq to dekh

    mirī talab na sahī merā ishtiyāq to dekh

    ibāratoñ se pare aa zarā siyāq to dekh

    judā haiñ jism hamāre judā haiñ rañg-o-ravish

    un ko chhoḌ ke rūhoñ ittisāq to dekh

    iḳhtilāf saarī hadeñ bhulā to sahī

    iḳhtilāf pe ham sab ittifāq to dekh

    kaTe hai vaqt bhale mujh ko kaaT kar kaTe

    aTuuT ġham hai ġhamoñ ye tumtarāq to dekh

    vo hai marīz jo har dam matīn rahtā hai

    kabhī mizāh to sun aur kabhī mazāq to dekh

    vo mīThe bol haqīqat meñ zahr-e-qātil haiñ

    is naqāb ke pīchhe chhupā nifāq to dekh

    ye hijr hijr nahīñ hai koī qayāmat hai

    ye chashm-e-tar na sahī dil inshiqāq to dekh

    hue haiñ husn ke virsā tamām begāne

    hai ḳhālī haath ye kāshif 'shakīl' aaq to dekh

    guzar rahi hai judai jo tujh pe shaq to dekh

    kabhi kabhi tu wara-e-had-e-firaq to dekh

    meri talab na sahi mera ishtiyaq to dekh

    ibaraton se pare aa zara siyaq to dekh

    juda hain jism hamare juda hain rang-o-rawish

    tu un ko chhoD ke ruhon ka ittisaq to dekh

    tu iKHtilaf ki sari haden bhula to sahi

    tu iKHtilaf pe hum sab ka ittifaq to dekh

    kaTe hai waqt bhale mujh ko kaT kar hi kaTe

    aTuT gham hai ghamon ka ye tumtaraq to dekh

    wo hai mariz jo har dam matin rahta hai

    kabhi mizah to sun aur kabhi mazaq to dekh

    wo miThe bol haqiqat mein zahr-e-qatil hain

    tu is naqab ke pichhe chhupa nifaq to dekh

    ye hijr hijr nahin hai koi qayamat hai

    ye chashm-e-tar na sahi dil ka inshiqaq to dekh

    hue hain husn ke wirsa tamam begane

    hai KHali hath ye kashif 'shakil' aaq to dekh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now