guzarti hai shab-bhar ghazal kahte kahte
guzartī hai shab-bhar ġhazal kahte kahte
maiñ rotī huuñ aksar ġhazal kahte kahte
mujhe tujh se pahle koī jāntā thā
banī huuñ suḳhanvar ġhazal kahte kahte
sunātī huuñ dukhḌe zamāne ko apne
na badlā muqaddar ġhazal kahte kahte
suḳhan-āshnā shahr meñ mil na paayā
maiñ bhaTkī huuñ dar-dar ġhazal kahte kahte
junūñ meñ kahāñ hosh rahtā hai 'mariyam'
nikal aa.ī bāhar ġhazal kahte kahte
guzarti hai shab-bhar ghazal kahte kahte
main roti hun aksar ghazal kahte kahte
mujhe tujh se pahle koi jaanta tha
bani hun suKHanwar ghazal kahte kahte
sunati hun dukhDe zamane ko apne
na badla muqaddar ghazal kahte kahte
suKHan-ashna shahr mein mil na paya
main bhaTki hun dar-dar ghazal kahte kahte
junun mein kahan hosh rahta hai 'mariyam'
nikal aai bahar ghazal kahte kahte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.