guzishtagan sa kuchh apna bhi haal ho raha hai
guzishtagāñ sā kuchh apnā bhī haal ho rahā hai
sitam to ye hai ki is par malāl ho rahā hai
tum apne tarz-e-taġhāful se baaz aa jaao
tumhārā chāhne vaalā niDhāl ho rahā hai
ye kaisī gard taḳhayyul pe paḌ rahī hai mire
kisī ko sochte rahnā muhāl ho rahā hai
falak talāshtā hai roz is liye taare
zamīn par jo ye merā zavāl ho rahā hai
ham aise log bahut der tak nahīñ rahte
yaqīn jāniye koī kamāl ho rahā hai
ye intizār kī ghaḌiyāñ bhī ik qayāmat haiñ
is intizār kā lamha bhī saal ho rahā hai
guzishtagan sa kuchh apna bhi haal ho raha hai
sitam to ye hai ki is par malal ho raha hai
tum apne tarz-e-taghaful se baz aa jao
tumhaara chahne wala niDhaal ho raha hai
ye kaisi gard taKHayyul pe paD rahi hai mere
kisi ko sochte rahna muhaal ho raha hai
falak talashta hai roz is liye tare
zamin par jo ye mera zawal ho raha hai
hum aise log bahut der tak nahin rahte
yaqin jaaniye koi kamal ho raha hai
ye intizar ki ghaDiyan bhi ek qayamat hain
is intizar ka lamha bhi sal ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.