Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guzre hue mausam ko zara yaad karen kya

Mohammad Haneef Shabab

guzre hue mausam ko zara yaad karen kya

Mohammad Haneef Shabab

MORE BYMohammad Haneef Shabab

    guzre hue mausam ko zarā yaad kareñ kyā

    phir se dil-e-barbād ko barbād kareñ kyā

    par noch ke sayyād ne pūchhā hai ye mujh se

    ai jān-e-bahārāñ tujhe āzād kareñ kyā

    ḳhud ham na the hāshiya-bardār to yaaro

    fir.aun hāmān shaddād kareñ kyā

    shahroñ se to uktā ga.ī āvāra-mizājī

    ab ke ḳharāboñ ko ābād kareñ kyā

    guzre hue mausam ko zara yaad karen kya

    phir se dil-e-barbaad ko barbaad karen kya

    par noch ke sayyaad ne puchha hai ye mujh se

    ai jaan-e-bahaaran tujhe aazad karen kya

    KHud hum hi na the hashiya-bardar to yaro

    firaun ya haman ya shaddad karen kya

    shahron se to ukta gai aawara-mizaji

    ab ja ke KHarabon hi ko aabaad karen kya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now