Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guzri giran jo mujh pe koi raat hi to thi

Abhay Kumar Bebak

guzri giran jo mujh pe koi raat hi to thi

Abhay Kumar Bebak

MORE BYAbhay Kumar Bebak

    guzrī girāñ jo mujh pe koī raat to thī

    lagtī rahī jo dil ko tirī baat to thī

    ḳhud talāsh meñ bhaTaktā phirā thā maiñ

    dhoke meñ saarī umr mirī zaat to thī

    jab kāmyābiyoñ ko ḳhirad se milī thī shah

    har pal bisāt-e-dil pe mirī maat to thī

    kar lahū ke ghūñT guzāre the roz-o-shab

    aise meñ zindagī bhī karāmāt to thī

    do pal sarḳhushī ke guzarne kaisā ġham

    āḳhir vo apne jahl sauġhāt to thī

    dastār ke baġhair bhī rahtā thā sar buland

    vo mere yār-e-ġhār auqāt to thī

    'bebāk' āñsūoñ se bharī vo shab-e-firāq

    kaase meñ dil ke 'ishq ḳhairāt to thī

    guzri giran jo mujh pe koi raat hi to thi

    lagti rahi jo dil ko teri baat hi to thi

    KHud ki talash hi mein bhaTakta phira tha main

    dhoke mein sari umr meri zat hi to thi

    jab kaamyabiyon ko KHirad se mili thi shah

    har pal bisat-e-dil pe meri mat hi to thi

    pi kar lahu ke ghunT guzare the roz-o-shab

    aise mein zindagi bhi karamat hi to thi

    do pal ki sarKHushi ke guzarne ka kaisa gham

    aaKHir wo apne jahl ki saughat hi to thi

    dastar ke baghair bhi rahta tha sar buland

    wo mere yar-e-ghaar ki auqat hi to thi

    'bebak' aansuon se bhari wo shab-e-firaq

    kase mein dil ke 'ishq ki KHairaat hi to thi

    Source:

    Khumar-e-Khwab (Pg. 54)

    • Author: Abhay Kumar Bebak
      • Publisher: Abhay Kumar Bebak
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now