Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hadisa ban ke har ek roz guzar jata hun

Praveen Saxena

hadisa ban ke har ek roz guzar jata hun

Praveen Saxena

MORE BYPraveen Saxena

    hādisa ban ke har ik roz guzar jaatā huuñ

    ek vīrāne bāñhoñ meñ Thahar jaatā huuñ

    sub.h ko jab bhī jagātī hai koī māyūsī

    shab āñkhoñ meñ kisī ḳhvāb bhar jaatā huuñ

    aur jab dhuup jalātī hai safar meñ mujh ko

    maiñ pighal kar kisī saa.e meñ pasar jaatā huuñ

    gher letī hai mujhe dekh ke mauqa aksar

    dil meñ tanhā.ī is bhiiḌ se Dar jaatā huuñ

    ye ma.amūl hai har din har ik lamhe

    tujh ko jiite hue ai zindagī mar jaatā huuñ

    koshisheñ kitnī kartā huuñ sameTūñ ḳhud ko

    jaane kyā hotā hai har baar bikhar jaatā huuñ

    bhuul jaatā huuñ kahīñ rakh ke maiñ ḳhud ko aur phir

    sochtā rahtā huuñ āḳhir maiñ kidhar jaatā huuñ

    silsila saath mire aisā hai tūfānoñ

    ik se bachtā huuñ to duuje meñ utar jaatā huuñ

    hadisa ban ke har ek roz guzar jata hun

    ek virane ki banhon mein Thahar jata hun

    subh ko jab bhi jagati hai koi mayusi

    shab ki aankhon mein kisi KHwab sa bhar jata hun

    aur jab dhup jalati hai safar mein mujh ko

    main pighal kar kisi sae mein pasar jata hun

    gher leti hai mujhe dekh ke mauqa aksar

    dil mein tanhai ki is bhiD se Dar jata hun

    ye hi mamul hai har din ka har ek lamhe ka

    tujh ko jite hue ai zindagi mar jata hun

    koshishen kitni hi karta hun sameTun KHud ko

    jaane kya hota hai har bar bikhar jata hun

    bhul jata hun kahin rakh ke main KHud ko aur phir

    sochta rahta hun aaKHir main kidhar jata hun

    silsila sath mere aisa hai tufanon ka

    ek se bachta hun to duje mein utar jata hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now