Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hadse hone lagen to hum dua ko DhunDte hain

Farah iqbal

hadse hone lagen to hum dua ko DhunDte hain

Farah iqbal

MORE BYFarah iqbal

    hādse hone lageñ to ham du'ā ko DhūñDte haiñ

    maslakoñ qaid meñ rah kar ḳhudā ko DhūñDhte haiñ

    nochte haiñ ham badan se ḳhud qabā-e-zindagānī

    aur phir ham gum-shuda apnī ridā ko DhūñDte haiñ

    ham fazā meñ gholte haiñ zahr ḳhud sochoñ apnī

    saañs lene ke liye phir ḳhud havā ko DhūñDte haiñ

    maslahat bādbānī kashtiyoñ meñ baiTh kar ham

    'ishq ke gahre samundar meñ vafā ko DhūñDte haiñ

    vaqt bhīgī havā meñ sāhiloñ ret par ab

    umr-e-rafta ke bikharte naqsh-e-pā ko DhūñDte haiñ

    kāsa-e-dil khanaktī ḳhvāhishoñ ke shor-o-ġhul meñ

    āsmānoñ se utartī ik sadā ko DhūñDhte haiñ

    gard-e-māzī se lipaTte an-ginat chehroñ ke pīchhe

    aaj bhī ham tere chehre ziyā ko DhūñDte haiñ

    hadse hone lagen to hum du'a ko DhunDte hain

    maslakon ki qaid mein rah kar KHuda ko DhunDhte hain

    nochte hain hum badan se KHud qaba-e-zindagani

    aur phir hum gum-shuda apni rida ko DhunDte hain

    hum faza mein gholte hain zahr KHud sochon ka apni

    sans lene ke liye phir KHud hawa ko DhunDte hain

    maslahat ki baadbani kashtiyon mein baiTh kar hum

    'ishq ke gahre samundar mein wafa ko DhunDte hain

    waqt ki bhigi hawa mein sahilon ki ret par ab

    umr-e-rafta ke bikharte naqsh-e-pa ko DhunDte hain

    kasa-e-dil ki khanakti KHwahishon ke shor-o-ghul mein

    aasmanon se utarti ek sada ko DhunDhte hain

    gard-e-mazi se lipaTte an-ginat chehron ke pichhe

    aaj bhi hum tere chehre ki ziya ko DhunDte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now