Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hae kaisa nagar udasi ka

Armaan Jodhpuri

hae kaisa nagar udasi ka

Armaan Jodhpuri

MORE BYArmaan Jodhpuri

    haa.e kaisā nagar udāsī

    har bashar ham-safar udāsī

    qahqahoñ tak maiñ aa ke baiTh gayā

    dekh liije asar udāsī

    biij Daale na khaad Daalī hai

    ug gayā ḳhud shajar udāsī

    ik to pahle ġham ke maare the

    aur is par zarar udāsī

    chun ke ash'ār meñ piroyā hai

    maiñ ne har ik guhar udāsī

    tere jaane ke baa'd jaanā hai

    zindagī hai safar udāsī

    hai agar javāb de koī

    kaun hai ham-safar udāsī

    ai ḳhudā bhej de koī rahzan

    luuTe mujh se jo zar udāsī

    log to dil udaas rakhte haiñ

    maiñ huuñ puurā bashar udāsī

    tum agar aa sako to aa jaao

    jashn hai mere ghar udāsī

    hae kaisa nagar udasi ka

    har bashar ham-safar udasi ka

    qahqahon tak main aa ke baiTh gaya

    dekh lije asar udasi ka

    bij Dale na khad Dali hai

    ug gaya KHud shajar udasi ka

    ek to pahle hi gham ke mare the

    aur is par zarar udasi ka

    chun ke ash'ar mein piroya hai

    main ne har ek guhar udasi ka

    tere jaane ke ba'd jaana hai

    zindagi hai safar udasi ka

    hai agar tu jawab de koi

    kaun hai ham-safar udasi ka

    ai KHuda bhej de koi rahzan

    luTe mujh se jo zar udasi ka

    log to dil udas rakhte hain

    main hun pura bashar udasi ka

    tum agar aa sako to aa jao

    jashn hai mere ghar udasi ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now