aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hae kya haal kar liya dil ka

Shamshad shaad

hae kya haal kar liya dil ka

Shamshad shaad

MORE BYShamshad shaad

    haa.e kyā haal kar liyā dil

    zaḳhm ab tak nahīñ siyā dil

    aa ke sūrat dikhā in āñkhoñ ko

    bujh na jaa.e kahīñ diyā dil

    kal talak thā vafā saudā.ī

    aaj paḌhtā hai marsiya dil

    tole ehsās kasauTī par

    hai judāgāna zāviya dil

    koī rough-work nishāñ bhī nahīñ

    ḳhālī ḳhālī hai hāshiya dil

    kāmyābī inhisār us par

    ham ko karnā hai tasfiya dil

    pyaas lagtī nahīñ kabhī us ko

    ḳhuun jis ne bhī liyā dil

    nasr meñ guftugū kareñ kyūñkar

    jab hai andāz nazmiya dil

    jab nahīñ sūjhtā mujhe kuchh aur

    bāñdh letā huuñ qāfiya dil

    'shād' ham ne to de diyā thā use

    kyā pata us ne kyā kiyā dil

    hae kya haal kar liya dil ka

    zaKHm ab tak nahin siya dil ka

    aa ke surat dikha in aankhon ko

    bujh na jae kahin diya dil ka

    kal talak tha wafa ka saudai

    aaj paDhta hai marsiya dil ka

    tole ehsas ki kasauTi par

    hai judagana zawiya dil ka

    koi rough-work ka nishan bhi nahin

    KHali KHali hai hashiya dil ka

    kaamyabi ka inhisar us par

    hum ko karna hai tasfiya dil ka

    pyas lagti nahin kabhi us ko

    KHun jis ne bhi pi liya dil ka

    nasr mein guftugu karen kyunkar

    jab hai andaz nazmiya dil ka

    jab nahin sujhta mujhe kuchh aur

    bandh leta hun qafiya dil ka

    'shad' hum ne to de diya tha use

    kya pata us ne kya kiya dil ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now