Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hae re ahd-e-guzishta ki karam-farmaiyan

Qadir Siddiqi

hae re ahd-e-guzishta ki karam-farmaiyan

Qadir Siddiqi

MORE BYQadir Siddiqi

    haa.e re ahd-e-guzishta karam-farmā.iyāñ

    anjuman-dar-anjuman tanhā.iyāñ tanhā.iyāñ

    ishq ko hāsil haiñ un bhī karam-farmā.iyāñ

    umr bhar karte rahe haiñ jo sitam-ārā.iyāñ

    mil ke donoñ ne mujhe rusvā-e-duniyā kar diyā

    kuchh merī nādāniyāñ thiiñ kuchh tirī dānā.iyāñ

    lafz-o-ma.anī meñ ulajh kar rah ga.e ahbāb sab

    kaash koī dekh saktā qalb gahrā.iyāñ

    ab ḳhulūs-e-dil bāteñ ḳhvāb ho kar rah ga.iiñ

    jis taraf dekho faqat parchhā.iyāñ parchhā.iyāñ

    koī hañstā to nahīñ aañsū bahāne par mire

    bā.is-e-taskīn-e-ḳhātir haiñ mujhe tanhā.iyāñ

    dekhiye ye bhī ki dil ḳhuun hotā to nahīñ

    vaj.h-e-raunaq sahī ye anjuman-ārā.iyāñ

    merī nazroñ ne unheñ kuchh gudgudāyā is tarah

    karvaTeñ lene lagīñ soī huī añgḌā.iyāñ

    ahl-e-duniyā se shikāyat kyā gila kyā rañj kyā

    mujh ko le Dūbīñ mire ehsās gahrā.iyāñ

    dard-e-dil jab tak na shāmil ho to 'qādir' sher kyā

    zindagī bhar karte rahiye qāfiya-paimā.iyāñ

    hae re ahd-e-guzishta ki karam-farmaiyan

    anjuman-dar-anjuman tanhaiyan tanhaiyan

    ishq ko hasil hain un ki bhi karam-farmaiyan

    umr bhar karte rahe hain jo sitam-araiyan

    mil ke donon ne mujhe ruswa-e-duniya kar diya

    kuchh meri nadaniyan thin kuchh teri danaiyan

    lafz-o-mani mein ulajh kar rah gae ahbab sab

    kash koi dekh sakta qalb ki gahraiyan

    ab KHulus-e-dil ki baaten KHwab ho kar rah gain

    jis taraf dekho faqat parchhaiyan parchhaiyan

    koi hansta to nahin aansu bahane par mere

    bais-e-taskin-e-KHatir hain mujhe tanhaiyan

    dekhiye ye bhi ki dil ka KHun hota to nahin

    wajh-e-raunaq hi sahi ye anjuman-araiyan

    meri nazron ne unhen kuchh gudgudaya is tarah

    karwaTen lene lagin soi hui angDaiyan

    ahl-e-duniya se shikayat kya gila kya ranj kya

    mujh ko le Dubin mere ehsas ki gahraiyan

    dard-e-dil jab tak na shamil ho to 'qadir' sher kya

    zindagi bhar karte rahiye qafiya-paimaiyan

    Source:

    Nikhat-e Alfaz (Pg. 29)

    • Author: Qadir Siddiqi
      • Publisher: Qadir Siddiqi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now