Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hakim-e-waqt ki beTi se mohabbat kar ke

Abid Maroof Mughal

hakim-e-waqt ki beTi se mohabbat kar ke

Abid Maroof Mughal

MORE BYAbid Maroof Mughal

    hākim-e-vaqt beTī se mohabbat kar ke

    kyā milā tujh ko qabīle se baġhāvat kar ke

    rāt-bhar āhaTeñ to ḳhvāb-darīchoñ pe rahīñ

    dekh phir bhaag ga.e ḳhvāb sharārat kar ke

    na aa.egā to ik paikar-e-nāyāb tirā

    merī āñkhoñ meñ utar aa.egā hijrat kar ke

    phuul ab zaḳhm tasvīr nazar aatī hai

    mere jazboñ ridāoñ se shikāyat kar ke

    maiñ ne har rang meñ jiine hunar sīkhā hai

    jiinā chāho to jiyo mujh ko malāmat kar ke

    aur haiñ kitnī lakīreñ maiñ safar dekhūñ

    kitne anjān se rastoñ masāfat kar ke

    aaj phir sar ko jhukā.e hue ghar par 'ābid'

    thak gayā ḳhud ko ġhubār-e-rah-e-vahshat kar ke

    hakim-e-waqt ki beTi se mohabbat kar ke

    kya mila tujh ko qabile se baghawat kar ke

    raat-bhar aahaTen to KHwab-darichon pe rahin

    dekh phir bhag gae KHwab shararat kar ke

    tu na aaega to ek paikar-e-nayab tera

    meri aankhon mein utar aaega hijrat kar ke

    phul ab zaKHm ki taswir nazar aati hai

    mere jazbon ki ridaon se shikayat kar ke

    main ne har rang mein jine ka hunar sikha hai

    jina chaho to jiyo mujh ko malamat kar ke

    aur hain kitni lakiren main safar ki dekhun

    kitne anjaan se raston ki masafat kar ke

    aaj phir sar ko jhukae hue ghar par 'abid'

    thak gaya KHud ko ghubar-e-rah-e-wahshat kar ke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now