Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haal ab tang hai zamane ka

Joshish Azimabadi

haal ab tang hai zamane ka

Joshish Azimabadi

MORE BYJoshish Azimabadi

    haal ab tañg hai zamāne

    rañg be-rañg hai zamāne

    nahīñ kotāh us dast-e-talab

    ye gadā nañg hai zamāne

    ek dam chain se na koī rahe

    yahī āhañg hai zamāne

    sarkashoñ rahā na nām-o-nishāñ

    zor-e-sar chañg hai zamāne

    ai jafā-kār dahr meñ tujh bin

    kaun ham-sañg hai zamāne

    jhuuT maiñ ne kahā tire hāthoñ

    qāfiya tañg hai zamāne

    chal nikal jald yaañ se ai 'joshish'

    Dhañg be-Dhañg hai zamāne

    haal ab tang hai zamane ka

    rang be-rang hai zamane ka

    nahin kotah us ka dast-e-talab

    ye gada nang hai zamane ka

    ek dam chain se na koi rahe

    yahi aahang hai zamane ka

    sarkashon ka raha na nam-o-nishan

    zor-e-sar chang hai zamane ka

    ai jafa-kar dahr mein tujh bin

    kaun ham-sang hai zamane ka

    jhuT main ne kaha tere hathon

    qafiya tang hai zamane ka

    chal nikal jald yan se ai 'joshish'

    Dhang be-Dhang hai zamane ka

    Source:

    Deewan-e-Joshish(Rekhta Website) (Pg. 10)

      • Edition: 1976
      • Publisher: Bihar Urdu Academy, Patna
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now