Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haal duniya mein hua rahm ke qabil apna

Shaida Allahabadi

haal duniya mein hua rahm ke qabil apna

Shaida Allahabadi

MORE BYShaida Allahabadi

    haal duniyā meñ huā rahm ke qābil apnā

    na ḳhasam apnā hai baajī na muā dil apnā

    kaise kahte ho nahīñ koī muqābil apnā

    ai siine meñ TaTolo to zarā dil apnā

    hausla kyā karūñ dikhlā.ūñ maiñ kyā dil apnā

    marduvā bhī to ho guyyāñ kisī qābil apnā

    vaqt apne maiñ lailā huuñ vo majnūñ guyyāñ

    aur kyā chāhiye chhap jā.egā novel apnā

    is se zyāda to maiñ habba nahīñ dene unheñ

    ghar meñ baiThī vo nikālā kareñ fāzil apnā

    sabr bandī sameTā kiye marte marte

    qabr meñ un farishta na ho nāzil apnā

    chaar ke kāñdhe pe bolī ye bahishtī biibī

    paañv bhī ghar se jo niklā to ba-mushkil apnā

    ek se laakh tak inkār nahīñ karne

    ke dikhlā.eñ to mujh ko vo zarā bill apnā

    kahīñ āñkhoñ se na ojhal koī tinkā ho jaa.e

    rakheñ asbāb nigāhoñ meñ vo til til apnā

    sāseñ duniyā meñ kahīñ sachchī huī haiñ beTā

    ham bhī jhūTe sahī da.avā bhī hai bātil apnā

    raat charrā.ī thī phir aglī mohabbat un

    mujh ko paḌh paḌh ke sunāyā kiye novel apnā

    joñk patthar meñ nahīñ lagtī hai ye sach hai magar

    kaise kar le koī terā mue dil apnā

    ek se ek zamāne meñ paḌe haiñ 'shaidā'

    kaise kahte ho nahīñ koī muqābil apnā

    haal duniya mein hua rahm ke qabil apna

    na KHasam apna hai baji na mua dil apna

    kaise kahte ho nahin koi muqabil apna

    ai ji sine mein TaTolo to zara dil apna

    hausla kya karun dikhlaun main kya dil apna

    marduwa bhi to ho guyyan kisi qabil apna

    waqt ki apne main laila hun wo majnun guyyan

    aur kya chahiye chhap jaega nowel apna

    is se zyaada to main habba nahin dene ki unhen

    ghar mein baiThi wo nikala karen fazil apna

    sabr bandi ka sameTa kiye marte marte

    qabr mein un ki farishta na ho nazil apna

    chaar ke kandhe pe boli ye bahishti bibi

    panw bhi ghar se jo nikla to ba-mushkil apna

    ek se lakh tak inkar nahin karne ki

    la ke dikhlaen to mujh ko wo zara bill apna

    kahin aankhon se na ojhal koi tinka ho jae

    rakhen asbab nigahon mein wo til til apna

    sasen duniya mein kahin sachchi hui hain beTa

    hum bhi jhuTe sahi dawa bhi hai baatil apna

    raat charrai thi phir agli mohabbat un ki

    mujh ko paDh paDh ke sunaya kiye nowel apna

    jonk patthar mein nahin lagti hai ye sach hai magar

    kaise kar le koi tera sa mue dil apna

    ek se ek zamane mein paDe hain 'shaida'

    kaise kahte ho nahin koi muqabil apna

    Source:

    Aarsi (Pg. 27)

    • Author: Shaida Allahabadi
      • Publisher: Saleemi Barqi Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1932
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now