haal-e-dil ki kitab banta hai
hāl-e-dil kī kitāb bantā hai
jab koī ham-rikāb bantā hai
jis kī sīrat utartī hai dil meñ
phir vahī intiḳhāb bantā hai
vo shab-o-roz ḳhvāb meñ aa kar
merī ulfat kā baab bantā hai
us kī yādoñ meñ munhamik ho kar
dil ye ḳhāna-ḳharāb bantā hai
ḳhūb-sūrat hai vo bahut lekin
husn ik din turāb bantā hai
'ishq meñ hai milā vufūr-e-ġham
is se ab ijtināb bantā hai
ziist gar vasl se rahe mahrūm
to har ik pal 'azāb bantā hai
tū ne vā'de kiye haiñ ulfat ke
merā tujh se hisāb bantā hai
diid 'rahbar' kabhī jo ho jaa.e
ruḳh mirā māhtāb bantā hai
haal-e-dil ki kitab banta hai
jab koi ham-rikab banta hai
jis ki sirat utarti hai dil mein
phir wahi intiKHab banta hai
wo shab-o-roz KHwab mein aa kar
meri ulfat ka bab banta hai
us ki yaadon mein munhamik ho kar
dil ye KHana-KHarab banta hai
KHub-surat hai wo bahut lekin
husn ek din turab banta hai
'ishq mein hai mila wufur-e-gham
is se ab ijtinab banta hai
zist gar wasl se rahe mahrum
to har ek pal 'azab banta hai
tu ne wa'de kiye hain ulfat ke
mera tujh se hisab banta hai
did 'rahbar' kabhi jo ho jae
ruKH mera mahtab banta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.