Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haal-e-dil sab se chhupane mein maza aata hai

Nawaz Deobandi

haal-e-dil sab se chhupane mein maza aata hai

Nawaz Deobandi

MORE BYNawaz Deobandi

    hāl-e-dil sab se chhupāne meñ maza aatā hai

    aap pūchheñ to batāne meñ maza aatā hai

    raushnī bojh lagtī hai shab-e-hijrāñ meñ

    haañ magar dil ko jalāne meñ maza aatā hai

    jis ke kuchh taar ulajh jaate haiñ dil sūrat

    bas usī saaz pe gaane meñ maza aatā hai

    jaañ bachāne tasavvur bhī burā lagtā hai

    ishq meñ jaan gañvāne meñ maza aatā hai

    yaad kar kar ke vo garmī bharī do-pahreñ

    pahlī bārish meñ nahāne meñ maza aatā hai

    haal-e-dil sab se chhupane mein maza aata hai

    aap puchhen to batane mein maza aata hai

    raushni bojh si lagti hai shab-e-hijran mein

    han magar dil ko jalane mein maza aata hai

    jis ke kuchh tar ulajh jate hain dil ki surat

    bas usi saz pe gane mein maza aata hai

    jaan bachane ka tasawwur bhi bura lagta hai

    ishq mein jaan ganwane mein maza aata hai

    yaad kar kar ke wo garmi ki bhari do-pahren

    pahli barish mein nahane mein maza aata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now