Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haal puchhe jo koi mera bata bhi na sakun

Nazish Sahsarami

haal puchhe jo koi mera bata bhi na sakun

Nazish Sahsarami

MORE BYNazish Sahsarami

    haal pūchhe jo koī merā batā bhī na sakūñ

    kyā qayāmat hai ki maiñ hoñT hilā bhī na sakūñ

    uf ye majbūrī-e-ayyām aalam hamdam

    rah-guzārān-e-shab-e-ġham ko jagā bhī na sakūñ

    ai junūñ haif mirī soḳhta-sāmānī par

    vaqt ko maut tā۔bīr batā bhī na sakūñ

    sochtā huuñ ravish-e-ḳhām pe mātam kar luuñ

    bijliyāñ aa.eñ to siine se lagā bhī na sakūñ

    Thahar gardish-e-daurāñ ki maiñ aisā to nahīñ

    barq zad ye nasheman jo banā bhī na sakūñ

    ab to allāh nigahbāñ hai vafā keshoñ

    choT khaa.ī hai kuchh aisī ki dikhā bhī na sakūñ

    dil-shikasta huuñ bahut gardish-e-daurāñ hai magar

    us se kaT kar koī kāshāna banā bhī na sakūñ

    kitnī majbūrī hai ai dost ki ġham-ḳhvāroñ ko

    ġham-e-ayyām tafsīl batā bhī na sakūñ

    kitnī bāteñ haiñ sunāne magar ai 'nāzish'

    haa.e chāhūñ jo sunānā to sunā bhī na sakūñ

    haal puchhe jo koi mera bata bhi na sakun

    kya qayamat hai ki main honT hila bhi na sakun

    uf ye majburi-e-ayyam ka aalam hamdam

    rah-guzaran-e-shab-e-gham ko jaga bhi na sakun

    ai junun haif meri soKHta-samani par

    waqt ko maut ki ta۔bir bata bhi na sakun

    sochta hun rawish-e-KHam pe matam kar lun

    bijliyan aaen to sine se laga bhi na sakun

    Thahar ja gardish-e-dauran ki main aisa to nahin

    barq ki zad ye nasheman jo bana bhi na sakun

    ab to allah nigahban hai wafa keshon ka

    choT khai hai kuchh aisi ki dikha bhi na sakun

    dil-shikasta hun bahut gardish-e-dauran hai magar

    us se kaT kar koi kashana bana bhi na sakun

    kitni majburi hai ai dost ki gham-KHwaron ko

    gham-e-ayyam ki tafsil bata bhi na sakun

    kitni baaten hain sunane ki magar ai 'nazish'

    hae chahun jo sunana to suna bhi na sakun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now