Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haalanki pahle din se kaha ja raha hun main

Liaqat Jafri

haalanki pahle din se kaha ja raha hun main

Liaqat Jafri

MORE BYLiaqat Jafri

    hālāñki pahle din se kahā rahā huuñ maiñ

    lekin kahāñ kisī ko sunā rahā huuñ maiñ

    lāchār o bad-havās ghane jañgaloñ ke biich

    dariyā ke saath saath chalā rahā huuñ maiñ

    pachhtā rahe haiñ sab mirā pinjar nikāl kar

    dīvār meñ dobāra chunā rahā huuñ maiñ

    hālāñki pahle saa.e se rahtī thī kashmakash

    ab apne bojh se dabā rahā huuñ maiñ

    tere sambhālne se bhī pakḌī na maiñ ne aag

    ab aur bhī ziyāda bujhā rahā huuñ maiñ

    pahle-pahal to ḳhud se mansūb the ye ashk

    ab us aañkh se bhī bahā rahā huuñ maiñ

    ye din bhī kaisā saḳht shikanja hai 'ja.afarī'

    ab jis pe saarī raat kasā rahā huuñ maiñ

    haalanki pahle din se kaha ja raha hun main

    lekin kahan kisi ko suna ja raha hun main

    lachaar o bad-hawas ghane jangalon ke bich

    dariya ke sath sath chala ja raha hun main

    pachhta rahe hain sab mera pinjar nikal kar

    diwar mein dobara chuna ja raha hun main

    haalanki pahle sae se rahti thi kashmakash

    ab apne bojh se hi daba ja raha hun main

    tere sambhaalne se bhi pakDi na main ne aag

    ab aur bhi ziyaada bujha ja raha hun main

    pahle-pahal to KHud se hi mansub the ye ashk

    ab us ki aankh se bhi baha ja raha hun main

    ye din bhi kaisa saKHt shikanja hai 'jafari'

    ab jis pe sari raat kasa ja raha hun main

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Liaqat Jafri

    Liaqat Jafri

    RECITATIONS

    Liaqat Jafri

    Liaqat Jafri,

    Liaqat Jafri

    haalanki pahle din se kaha ja raha hun main Liaqat Jafri

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now