haalat ke maron se yun mauj-e-bala uljhe
hālāt ke māroñ se yuuñ mauj-e-balā uljhe
jaise ki charāġhoñ se rah rah ke havā uljhe
kuchh nazm-e-chaman badle hangāma bhī ho barpā
gar sho’la-bayānoñ se bebas kī sadā uljhe
ḳhushbū ho fazāoñ meñ ḳhush-rang nazāre hoñ
dāmān-e-gul-e-tar se jab bād-e-sabā uljhe
har shaam uThātī hai sar tīra-shabī apnā
har raat añdhere se sham'oñ kī ziyā uljhe
dīvāne kī nazroñ meñ kyā chiiz hai jāñ-sozī
kah do na vafāoñ se ab teġh-e-jafā uljhe
yuuñ harf na aa jaa.e gulshan meñ bahāroñ par
ab aur na phūloñ se kāñToñ kī ridā uljhe
kyā hogā zarā socho 'resham' sar-e-mahfil jab
ḳhuddār tabī'at se gesū-e-anā uljhe
haalat ke maron se yun mauj-e-bala uljhe
jaise ki charaghon se rah rah ke hawa uljhe
kuchh nazm-e-chaman badle hangama bhi ho barpa
gar sho’la-bayanon se bebas ki sada uljhe
KHushbu ho fazaon mein KHush-rang nazare hon
daman-e-gul-e-tar se jab baad-e-saba uljhe
har sham uThati hai sar tira-shabi apna
har raat andhere se sham'on ki ziya uljhe
diwane ki nazron mein kya chiz hai jaan-sozi
kah do na wafaon se ab tegh-e-jafa uljhe
yun harf na aa jae gulshan mein bahaaron par
ab aur na phulon se kanTon ki rida uljhe
kya hoga zara socho 'resham' sar-e-mahfil jab
KHuddar tabi'at se gesu-e-ana uljhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.