haalat ki talKHi se hain jhunjhlae hue log
hālāt kī talḳhī se haiñ jhuñjhlā.e hue log
muflis kī tarah jholiyāñ phailā.e hue log
apnoñ ne hī siine se lagāyā nahīñ jin ko
ab jaa.eñ kidhar 'ishq meñ Thukrā.e hue log
ye uun kī Dorī nahīñ lamhoñ meñ jo khul jaa.e
suljheñge baḌī der se uljhā.e hue log
ārām se sote haiñ shikam-ser parinde
aur jāgte rahte haiñ ye ghabrā.e hue log
raaz apne kisī shaḳhs pe vā kar nahīñ sakte
ham jurm-e-mohabbat kī sazā paa.e hue log
ye dhuup to phūloñ ko bhī khilne nahīñ detī
rahte haiñ mire des meñ murjhā.e hue log
ye zindagī hai jāgtī āñkhoñ kā koī ḳhvāb
'tamsīla' samajhte nahīñ uktā.e hue log
haalat ki talKHi se hain jhunjhlae hue log
muflis ki tarah jholiyan phailae hue log
apnon ne hi sine se lagaya nahin jin ko
ab jaen kidhar 'ishq mein Thukrae hue log
ye un ki Dori nahin lamhon mein jo khul jae
suljhenge baDi der se uljhae hue log
aaram se sote hain shikam-ser parinde
aur jagte rahte hain ye ghabrae hue log
raaz apne kisi shaKHs pe wa kar nahin sakte
hum jurm-e-mohabbat ki saza pae hue log
ye dhup to phulon ko bhi khilne nahin deti
rahte hain mere des mein murjhae hue log
ye zindagi hai jagti aankhon ka koi KHwab
'tamsila' samajhte nahin uktae hue log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.