haalat-e-bimar-e-gham par jis ko hairani nahin

Zafar Ansari Zafar

haalat-e-bimar-e-gham par jis ko hairani nahin

Zafar Ansari Zafar

MORE BY Zafar Ansari Zafar

  hālat-e-bīmār-e-ġham par jis ko hairānī nahīñ

  asal meñ us aadmī meñ ḳhū-e-insānī nahīñ

  aisī bedardī se us ko mat bahāo ḳhaak par

  ḳhūn-e-insāñ ḳhūn-e-insāñ hai koī paanī nahīñ

  ruuh rishta kabhī kyā toḌ paa.ī hai qazā

  zindagī faanī hai lekin ruuh to faanī nahīñ

  jis ḳhushbū se mo.attar raat bhar rahtā thā maiñ

  mere ghar ke paas ab vo raat raanī nahīñ

  maiñ ta.ajjub meñ huuñ ye kaisā zamāna aa gayā

  chāñd meñ ThanDak nahīñ sūraj meñ tābānī nahīñ

  phir tire uupar na TuuTe kyuuñ azāboñ pahāḌ

  tere andar ik zarā bhī bū-e-īmānī nahīñ

  yuuñ na apne chāhne vaale ko rusvā kījiye

  ye to andāz-e-sulūk-e-dilbar-e-jānī nahīñ

  kyuuñ nahīñ tūfāñ manzar terī chashm-e-shauq meñ

  kyuuñ tire dariyā-e-dil meñ ab vo tuġhyānī nahīñ

  mutma.in hai ishq bhī shām-e-alam ke bāvajūd

  husn ke chehre pe bhī aks-e-pareshānī nahīñ

  ishq meñ bhī na pā.egā kahīñ merā javāb

  jān-e-man jo husn meñ koī tirā saanī nahīñ

  ai 'zafar' paale hue haiñ vo bhī duniyā havas

  ab faqīr-e-ishq meñ bhī bū-e-irfānī nahīñ

  haalat-e-bimar-e-gham par jis ko hairani nahin

  asal mein us aadmi mein KHu-e-insani nahin

  aisi bedardi se us ko mat bahao KHak par

  KHun-e-insan KHun-e-insan hai koi pani nahin

  ruh ka rishta kabhi kya toD pai hai qaza

  zindagi fani hai lekin ruh to fani nahin

  jis ki KHushbu se moattar raat bhar rahta tha main

  mere ghar ke pas ab wo raat ki rani nahin

  main tajjub mein hun ye kaisa zamana aa gaya

  chand mein ThanDak nahin suraj mein tabani nahin

  phir tere upar na TuTe kyun azabon ka pahaD

  tere andar ek zara bhi bu-e-imani nahin

  yun na apne chahne wale ko ruswa kijiye

  ye to andaz-e-suluk-e-dilbar-e-jaani nahin

  kyun nahin tufan ka manzar teri chashm-e-shauq mein

  kyun tere dariya-e-dil mein ab wo tughyani nahin

  mutmain hai ishq bhi sham-e-alam ke bawajud

  husn ke chehre pe bhi aks-e-pareshani nahin

  ishq mein bhi tu na paega kahin mera jawab

  jaan-e-man jo husn mein koi tera sani nahin

  ai 'zafar' pale hue hain wo bhi duniya ki hawas

  ab faqir-e-ishq mein bhi bu-e-irfani nahin

  Source:

  • Book : Sharar-e-sang (Pg. 75)
  • Author : Zafar Ansari Zafar
  • Publication : Educational Publishing House (2015)
  • Edition : 2015
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY