Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

han agar din ko kabhi raat kaha jata hai

Shiv Om Misra Anvar

han agar din ko kabhi raat kaha jata hai

Shiv Om Misra Anvar

MORE BYShiv Om Misra Anvar

    haañ agar din ko kabhī raat kahā jaatā hai

    is ko majbūri-e-hālāt kahā jaatā hai

    āsmāñ ho ke bhī jo log zamīñ jaise haiñ

    aise logoñ ko sādāt kahā jaatā hai

    jab sunā auroñ ke muñh se to ye jaanā maiñ ne

    merī shohrat meñ tirā haath kahā jaatā hai

    dil meñ jab pyaar ke ehsās javāñ hone lage

    tab use pyaar shurūāt kahā jaatā hai

    aañkh se gir ke mire ashk zamīñ-doz hue

    hijr meñ is ko barsāt kahā jaatā hai

    baa'd jaane ke bhī siine meñ mere baiThā rahā

    is ko sachchī mulāqāt kahā jaatā hai

    han agar din ko kabhi raat kaha jata hai

    is ko majburi-e-haalat kaha jata hai

    aasman ho ke bhi jo log zamin jaise hain

    aise logon ko hi sadat kaha jata hai

    jab suna auron ke munh se to ye jaana main ne

    meri shohrat mein tera hath kaha jata hai

    dil mein jab pyar ke ehsas jawan hone lage

    tab use pyar ki shuruat kaha jata hai

    aankh se gir ke mere ashk zamin-doz hue

    hijr mein is ko hi barsat kaha jata hai

    ba'd jaane ke bhi sine mein mere baiTha raha

    is ko hi sachchi mulaqat kaha jata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now