han faqat jism nahin raaz-e-pur-asrar hun main
haañ faqat jism nahīñ rāz-e-pur-asrār huuñ maiñ
ik musavvir kā banāyā huā shahkār huuñ maiñ
kaun samjhegā udāsī ko mirī kis se kahūñ
terī duniyā kā hī ik nāla-e-bezār huuñ maiñ
ḳhalq hotī huuñ isī kokh meñ mar jaatī huuñ
ai kahānī ye tirā kaun sā kirdār huuñ maiñ
mere chehre kī ye raunaq hai musavvir kī 'atā
tū samajhtā hai tire 'ishq meñ sarshār huuñ maiñ
ab yahāñ husn kī qīmat nahīñ lagne vaalī
nai zuleḳhā huuñ na vo misr kā bāzār huuñ maiñ
han faqat jism nahin raaz-e-pur-asrar hun main
ek musawwir ka banaya hua shahkar hun main
kaun samjhega udasi ko meri kis se kahun
teri duniya ka hi ek nala-e-bezar hun main
KHalq hoti hun isi kokh mein mar jati hun
ai kahani ye tera kaun sa kirdar hun main
mere chehre ki ye raunaq hai musawwir ki 'ata
tu samajhta hai tere 'ishq mein sarshaar hun main
ab yahan husn ki qimat nahin lagne wali
nai zuleKHa hun na wo misr ka bazar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.