Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

han gham-e-dil ki tere pas dawa hai to sahi

Jaleel Qidwai

han gham-e-dil ki tere pas dawa hai to sahi

Jaleel Qidwai

MORE BYJaleel Qidwai

    haañ ġham-e-dil tire paas davā hai to sahī

    dard kuchh terī tavajjoh se sivā hai to sahī

    mūjib-e-rāhat-e-dil terī vafā hai to sahī

    kuchh na kuchh phir bhī mujhe tujh se gila hai to sahī

    dil ko matlūb hai ik chiiz shifā se bhī sivā

    varna yuuñ dard-e-mohabbat davā hai to sahī

    maiñ na kahtā thā is āvāz se mānūs huuñ maiñ

    parda-e-sāz meñ terī sadā hai to sahī

    ab na khā.ūñgā tirī chashm-e-muravvat fareb

    merī nazroñ meñ tirī tarz-e-jafā hai to sahī

    ek duniyā hai ki betāb paḌī phirtī hai

    kuchh na kuchh dard-e-mohabbat meñ mazā hai to sahī

    aur darkār hai kyā dil tasallī ke liye

    mujh se vo shoḳh ka.ī din se ḳhafā hai to sahī

    sach hai kab tak rahe ummīd pe koī ai dil

    ab tirī barhamī-e-shauq bajā hai to sahī

    vaah kyā paa.ī hai rangīn tabī.at maiñ ne

    kam kahūñ sher magar tab-e-rasā hai to sahī

    aap ke lutf ummīd pe jiitā hai 'jalīl'

    varna sunte haiñ vo jiine se ḳhafā hai to sahī

    han gham-e-dil ki tere pas dawa hai to sahi

    dard kuchh teri tawajjoh se siwa hai to sahi

    mujib-e-rahat-e-dil teri wafa hai to sahi

    kuchh na kuchh phir bhi mujhe tujh se gila hai to sahi

    dil ko matlub hai ek chiz shifa se bhi siwa

    warna yun dard-e-mohabbat ki dawa hai to sahi

    main na kahta tha is aawaz se manus hun main

    parda-e-saz mein teri hi sada hai to sahi

    ab na khaunga teri chashm-e-murawwat ka fareb

    meri nazron mein teri tarz-e-jafa hai to sahi

    ek duniya hai ki betab paDi phirti hai

    kuchh na kuchh dard-e-mohabbat mein maza hai to sahi

    aur darkar hai kya dil ki tasalli ke liye

    mujh se wo shoKH kai din se KHafa hai to sahi

    sach hai kab tak rahe ummid pe koi ai dil

    ab teri barhami-e-shauq baja hai to sahi

    wah kya pai hai rangin tabiat main ne

    kam kahun sher magar tab-e-rasa hai to sahi

    aap ke lutf ki ummid pe jita hai 'jalil'

    warna sunte hain wo jine se KHafa hai to sahi

    Source:

    Nawa-e-Seena Taab (Pg. 65)

    • Author: Jaleel Qidwai
      • Publisher: Nazir Printing Press, Karachi
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now