Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

han jhuT hai wo jaan se tum par fida nahin

Faheem Gorakhpuri

han jhuT hai wo jaan se tum par fida nahin

Faheem Gorakhpuri

MORE BYFaheem Gorakhpuri

    haañ jhuuT hai vo jaan se tum par fidā nahīñ

    sach kah rahe ho ġhair ye hausla nahīñ

    yād-e-butāñ nahīñ ki ḳhayāl-e-ḳhudā nahīñ

    sab kuchh bashar ke dil meñ hai ai shaiḳh kyā nahīñ

    vāqif nahīñ ho tum abhī hāl-e-raqīb se

    maiñ ne burā kahā jo use kyā burā nahīñ

    Thahre raho ki baat hogī tamām raat

    Darte ho kyoñ kuchh aur mirā mudda.ā nahīñ

    bhūlī bahisht meñ bhī na añgūr mujhe

    jab mai-e-tahūr kahā vo mazā nahīñ

    puurī na kar jo vasl ḳhvāhish to qatl kar

    kyā terī tarah teġh bhī hājat-ravā nahīñ

    ik maiñ huuñ apne dil meñ tujhe dekhtā huuñ roz

    ik hai muḌ ke merī taraf dekhtā nahīñ

    pahle to us ne vasl iqrār kar liyā

    phir thoḌī der soch ke kahne lagā nahīñ

    o sone vaale sone na degī tujhe kabhī

    ye merī āh-e-garm hai bād-e-sabā nahīñ

    jaao na mudda.ī mulāqāt ke liye

    tum aao na aao ye matlab mirā nahīñ

    ai dil kidhar hai kūcha-e-gesū se de sadā

    DhūñDhuñ kahāñ añdhere meñ kuchh sūjhtā nahīñ

    saa.e bhī pata nahīñ vo aa.e is tarah

    sajde kahāñ karūñ ki kahīñ naqsh-e-pā nahīñ

    sābit hai jurm-e-ishq to dāvā-e-ishq se

    ham kis tarah kaheñ ki hamārī ḳhatā nahīñ

    barsāt meñ bhī tum kabhī piite nahīñ 'fahīm'

    aisā bhī ab pasand mujhe ittiqā nahīñ

    han jhuT hai wo jaan se tum par fida nahin

    sach kah rahe ho ghair ka ye hausla nahin

    yaad-e-butan nahin ki KHayal-e-KHuda nahin

    sab kuchh bashar ke dil mein hai ai shaiKH kya nahin

    waqif nahin ho tum abhi haal-e-raqib se

    main ne bura kaha jo use kya bura nahin

    Thahre raho ki baat hi hogi tamam raat

    Darte ho kyon kuchh aur mera muddaa nahin

    bhuli bahisht mein bhi na angur ki mujhe

    jab pi mai-e-tahur kaha wo maza nahin

    puri na kar jo wasl ki KHwahish to qatl kar

    kya teri tarah tegh bhi hajat-rawa nahin

    ek main hun apne dil mein tujhe dekhta hun roz

    ek tu hai muD ke meri taraf dekhta nahin

    pahle to us ne wasl ka iqrar kar liya

    phir thoDi der soch ke kahne laga nahin

    o sone wale sone na degi tujhe kabhi

    ye meri aah-e-garm hai baad-e-saba nahin

    jao na muddai ki mulaqat ke liye

    tum aao ya na aao ye matlab mera nahin

    ai dil kidhar hai kucha-e-gesu se de sada

    DhunDhun kahan andhere mein kuchh sujhta nahin

    sae ka bhi pata nahin wo aae is tarah

    sajde kahan karun ki kahin naqsh-e-pa nahin

    sabit hai jurm-e-ishq to dawa-e-ishq se

    hum kis tarah kahen ki hamari KHata nahin

    barsat mein bhi tum kabhi pite nahin 'fahim'

    aisa bhi ab pasand mujhe ittiqa nahin

    Source:

    Yadgar-e-Faheem (Pg. 59)

    • Author: Faheem Gorakhpuri
      • Publisher: Mirza Basheer Ahmad Beg
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now