Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

han mujhe gawara hai ishq ka safar tanha

Ehsas Muradabadi

han mujhe gawara hai ishq ka safar tanha

Ehsas Muradabadi

MORE BYEhsas Muradabadi

    haañ mujhe gavārā hai ishq safar tanhā

    us ne mujh ko chhoḌā hai kuchh to soch kar tanhā

    ziist hai magar suunī ishq hai magar tanhā

    chashm sar-basar vīrāñ qalb sar-basar tanhā

    vo jamāl tābish jaise nuur bārish

    husn-e-yār yūrish aur mirī nazar tanhā

    dil ek ik hasrat chhoḌ kar huī ruḳhsat

    hā.e-re ye sannāTā hā.e-re ye ghar tanhā

    kyā qayāmateñ yaaro husn ke jilau meñ thiiñ

    ham ne duur tak dekhā ishq thā magar tanhā

    Thokareñ khā.ūñgā gir ke uTh na pā.ūñgā

    manzil-e-mohabbat meñ maiñ chalā agar tanhā

    dāman-e-mohabbat par dil ḳhuun bhī hogā

    terā ġham manā.egī kaise chashm-e-tar tanhā

    han mujhe gawara hai ishq ka safar tanha

    us ne mujh ko chhoDa hai kuchh to soch kar tanha

    zist hai magar suni ishq hai magar tanha

    chashm sar-basar viran qalb sar-basar tanha

    wo jamal ki tabish jaise nur ki barish

    husn-e-yar ki yurish aur meri nazar tanha

    dil ki ek ek hasrat chhoD kar hui ruKHsat

    hae-re ye sannaTa hae-re ye ghar tanha

    kya qayamaten yaro husn ke jilau mein thin

    hum ne dur tak dekha ishq tha magar tanha

    Thokaren hi khaunga gir ke uTh na paunga

    manzil-e-mohabbat mein main chala agar tanha

    daman-e-mohabbat par dil ka KHun bhi hoga

    tera gham manaegi kaise chashm-e-tar tanha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now