haar mein phans ke laTakne mein maza kya hai bata
haar meñ phañs ke laTakne meñ mazā kyā hai batā
ban ke motī tujhe ai buuñd milā kyā hai batā
jitnā ūñchā huā utnā hī akelā bhī huā
tere rutbe ne tujhe dost diyā kyā hai batā
ab ki jab achchhoñ kī sohbat meñ hai tū rah aayā
jin ko samjhā thā burā un meñ burā kyā hai batā
bure kā karte bhalā tum to koī baat bhī thī
bure ke saath burā ban ke milā kyā hai batā
in ġharīboñ kā muqaddar hai kisī aur ke haath
in ke hāthoñ meñ lakīroñ ke sivā kyā hai batā
na ye vāqif tirī tahzīb na bolī se 'sadā'
tū ne bachchoñ ko virāsat meñ diyā kyā hai batā
haar mein phans ke laTakne mein maza kya hai bata
ban ke moti tujhe ai bund mila kya hai bata
jitna uncha hua utna hi akela bhi hua
tere rutbe ne tujhe dost diya kya hai bata
ab ki jab achchhon ki sohbat mein hai tu rah aaya
jin ko samjha tha bura un mein bura kya hai bata
bure ka karte bhala tum to koi baat bhi thi
bure ke sath bura ban ke mila kya hai bata
in gharibon ka muqaddar hai kisi aur ke hath
in ke hathon mein lakiron ke siwa kya hai bata
na ye waqif teri tahzib na boli se 'sada'
tu ne bachchon ko wirasat mein diya kya hai bata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.