hasil-e-firdaus to ho jae virana abhi
hāsil-e-firdaus to ho jaa.e vīrāna abhī
mā.il-e-girya nahīñ hai terā dīvāna abhī
ḳhatm to ho jaa.e kufr-e-imtiyāzāt-e-nazar
log haiñ nā-mahram-e-ādāb-e-mai-ḳhāna abhī
maiñ badal to duuñ zamāne kā ye farsūda nizām
mujh tak aaya hī nahīñ ai dost paimāna abhī
aag meñ jal kar visāl-e-dost hotā hai nasīb
hai tavāf-e-sham’ meñ masrūf parvāna abhī
'ishq kā markaz kahāñ aur dasht-paimā.ī kahāñ
apnī manzil se bahut pīchhe hai dīvāna abhī
TūTne paa.e na yā-rab āñsuoñ kā silsila
nā-mukammal hai ġham-e-'āshiq kā afsāna abhī
hosh aate hī maiñ kis zulmat-kade meñ aa gayā
thā qarīb-e-māh-o-anjum merā kāshāna abhī
lab pe aatī baat kah to duuñ magar samjhegā kaun
ek 'ālam hai suḳhan-fahmī se begāna abhī
aaj tishna rah na jaa.e 'bismil'-e-sahbā-parast
raat baaqī hai abhī raqsāñ hai paimāna abhī
hasil-e-firdaus to ho jae virana abhi
mail-e-girya nahin hai tera diwana abhi
KHatm to ho jae kufr-e-imtiyazat-e-nazar
log hain na-mahram-e-adab-e-mai-KHana abhi
main badal to dun zamane ka ye farsuda nizam
mujh tak aaya hi nahin ai dost paimana abhi
aag mein jal kar visal-e-dost hota hai nasib
hai tawaf-e-sham’ mein masruf parwana abhi
'ishq ka markaz kahan aur dasht-paimai kahan
apni manzil se bahut pichhe hai diwana abhi
TuTne pae na ya-rab aansuon ka silsila
na-mukammal hai gham-e-'ashiq ka afsana abhi
hosh aate hi main kis zulmat-kade mein aa gaya
tha qarib-e-mah-o-anjum mera kashana abhi
lab pe aati baat kah to dun magar samjhega kaun
ek 'alam hai suKHan-fahmi se begana abhi
aaj tishna rah na jae 'bismil'-e-sahba-parast
raat baqi hai abhi raqsan hai paimana abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.