hath hathon mein liye duniya ghumati hui nazm
haath hāthoñ meñ liye duniyā ghumātī huī nazm
haath aa.ī hai falak paar dikhātī huī nazm
ghar meñ baiThā huā rah jā.egā bahrā shā'ir
aage baḌh jā.egī āvāz lagātī huī nazm
chhoḌ detā huuñ sabhī kaam vahīñ ek taraf
dekh letā huuñ jahāñ duur se aatī huī nazm
she'r baiThā hai vahāñ sub.h se auzār liye
raat jis chauk meñ thī jism luTātī huī nazm
ek shā'ir kī mohabbat bhī hai vo shā'era bhī
yuuñ samajh lījiye ik nazm sunātī huī nazm
tū ne dekhe haiñ kabhī vajd meñ aa.e hue lafz
tū ne dekhī hai kabhī 'arsh hilātī huī nazm
tel ke hauz se nikle haiñ sabhī log vahāñ
maiñ ne rakhnī hai jahāñ aag lagātī huī nazm
gāḌiyāñ dauḌ paḌīñ sabz huā juuñ signal
rah ga.ī pīchhe kahīñ aañkh milātī huī nazm
shā.iro koī savālāt uThātā huā she'r
shā.iro koī sar-e-dār bulātī huī nazm
ḳhud se Dartā huā sahmā huā rotā huā maiñ
chup karātī huī siine se lagātī huī nazm
hath hathon mein liye duniya ghumati hui nazm
hath aai hai falak par dikhati hui nazm
ghar mein baiTha hua rah jaega bahra sha'ir
aage baDh jaegi aawaz lagati hui nazm
chhoD deta hun sabhi kaam wahin ek taraf
dekh leta hun jahan dur se aati hui nazm
she'r baiTha hai wahan subh se auzar liye
raat jis chauk mein thi jism luTati hui nazm
ek sha'ir ki mohabbat bhi hai wo sha'era bhi
yun samajh lijiye ek nazm sunati hui nazm
tu ne dekhe hain kabhi wajd mein aae hue lafz
tu ne dekhi hai kabhi 'arsh hilati hui nazm
tel ke hauz se nikle hain sabhi log wahan
main ne rakhni hai jahan aag lagati hui nazm
gaDiyan dauD paDin sabz hua jun signal
rah gai pichhe kahin aankh milati hui nazm
shairo koi sawalat uThata hua she'r
shairo koi sar-e-dar bulati hui nazm
KHud se Darta hua sahma hua rota hua main
chup karaati hui sine se lagati hui nazm
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.