hath pakaD kar KHush-fahmi mein Dal diya hum jaison ko
haath pakaḌ kar ḳhush-fahmī meñ Daal diyā ham jaisoñ ko
jaise koī bīnā.ī ke ḳhvāb dikhā.e andhoñ ko
ab maiñ samjhā apnī qurbat meñ ye ḳhalish kyoñ aa.ī hai
paanī ziyāda dene se nuqsān huā hai paudhoñ ko
dil kā bojh bhī halkā huā aur rusvā.ī kā ḳhatra nahīñ
maiñ ne haal sunāyā jā kar jangal meñ kuchh peḌoñ ko
koī to hal DhūñDe āḳhir is be-rahm udāsī kā
varna ye barbād na kar de aane vaalī nasloñ ko
saare taare merī gavāhī dene ko aa jā.eñge
ik mah-vash kī ḳhātir kitnā jaagā huuñ maiñ rātoñ ko
tum bhī āḳhir us kī bātoñ meñ 'shīrāz' chale aa.e
aise pāgal roz banātā hai vo jaane kitnoñ ko
hath pakaD kar KHush-fahmi mein Dal diya hum jaison ko
jaise koi binai ke KHwab dikhae andhon ko
ab main samjha apni qurbat mein ye KHalish kyon aai hai
pani ziyaada dene se nuqsan hua hai paudhon ko
dil ka bojh bhi halka hua aur ruswai ka KHatra nahin
main ne haal sunaya ja kar jangal mein kuchh peDon ko
koi to hal DhunDe aaKHir is be-rahm udasi ka
warna ye barbaad na kar de aane wali naslon ko
sare tare meri gawahi dene ko aa jaenge
ek mah-wash ki KHatir kitna jaga hun main raaton ko
tum bhi aaKHir us ki baaton mein 'shiraaz' chale aae
aise pagal roz banata hai wo jaane kitnon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.