Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hath phaila na sake bhik ke pyalon ki tarah

Iqbal Ahmad Khan Arif

hath phaila na sake bhik ke pyalon ki tarah

Iqbal Ahmad Khan Arif

MORE BYIqbal Ahmad Khan Arif

    haath phailā na sake bhiik ke pyāloñ tarah

    ham se māñgā na gayā māñgne vāloñ tarah

    kar na gulshan meñ uchhal-kūd ġhazāloñ tarah

    chal bahut soch ke shatranj chāloñ tarah

    fāqa-mastoñ pe ināyāt nivāloñ tarah

    har nivāle meñ magar tanz bhī bāloñ tarah

    ham rah-e-zīst se guzre haiñ ujāloñ tarah

    yaad rakkheñge hameñ log misāloñ tarah

    koī uThtā nahīñ shahr meñ qātil ke ḳhilāf

    haq-navāoñ ke bhī muñh band the tāloñ tarah

    ham meñ tahzīb-o-tamaddun bhī adab bhī fan bhī

    kal paḌhe jā.eñge ham log maqāloñ tarah

    tujh se jo koī milā ḳhuuñ meñ nahā kar lauTā

    lahja barchhī tirā alfāz haiñ bhāloñ tarah

    ahl-e-zarf aape se bāhar nahīñ hote 'ārif'

    ham samundar the na biphre nadī nāloñ tarah

    hath phaila na sake bhik ke pyalon ki tarah

    hum se manga na gaya mangne walon ki tarah

    kar na gulshan mein uchhal-kud ghazalon ki tarah

    chal bahut soch ke shatranj ki chaalon ki tarah

    faqa-maston pe inayat niwalon ki tarah

    har niwale mein magar tanz bhi baalon ki tarah

    hum rah-e-zist se guzre hain ujalon ki tarah

    yaad rakkhenge hamein log misalon ki tarah

    koi uThta hi nahin shahr mein qatil ke KHilaf

    haq-nawaon ke bhi munh band the talon ki tarah

    hum mein tahzib-o-tamaddun bhi adab bhi fan bhi

    kal paDhe jaenge hum log maqalon ki tarah

    tujh se jo koi mila KHun mein naha kar lauTa

    lahja barchhi tera alfaz hain bhaalon ki tarah

    ahl-e-zarf aape se bahar nahin hote 'arif'

    hum samundar the na biphre nadi nalon ki tarah

    Source:

    Aaina-e-Sukhan (Pg. 57)

    • Author: Iqbal Ahmad Khan Arif
      • Publisher: Iqbal Ahmad Khan Arif
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now