hath se aaKHir chhuT paDa patthar jo uThaya tha

Raees Faraz

hath se aaKHir chhuT paDa patthar jo uThaya tha

Raees Faraz

MORE BYRaees Faraz

  haath se āḳhir chhūT paḌā patthar jo uThāyā thā

  kyā kartā mujrim bhī to ḳhud apnā saayā thā

  aisā hotā kaash kahīñ kuchh rañg bhī mil jaate

  us ne mere ḳhvāboñ ḳhāka to banāyā thā

  ab bhī bāhar aa yuuñ jism meñ chhupnā kyā

  parda karnā thā to kyuuñ mujh ko bulāyā thā

  aaj ke mausam se be-sudh kuchh log kafan chehra

  ab tak sahme baiThe haiñ tūfān kal aayā thā

  chāhe to aur bhī ruk le palkoñ chhāñv meñ

  maiñ ne to tujh ko vaqt bas ehsās dilāyā thā

  roz savere vīrāna bachtā hai 'farāz' āḳhir

  ham ne raat bhī ḳhvāboñ meñ ik shahr sajāyā thā

  hath se aaKHir chhuT paDa patthar jo uThaya tha

  kya karta mujrim bhi to KHud apna saya tha

  aisa hota kash kahin kuchh rang bhi mil jate

  us ne mere KHwabon ka KHaka to banaya tha

  ab tu bhi bahar aa ja yun jism mein chhupna kya

  parda hi karna tha to kyun mujh ko bulaya tha

  aaj ke mausam se be-sudh kuchh log kafan chehra

  ab tak sahme baiThe hain tufan kal aaya tha

  ji chahe to aur bhi ruk le palkon ki chhanw mein

  main ne to tujh ko waqt ka bas ehsas dilaya tha

  roz sawere virana bachta hai 'faraaz' aaKHir

  hum ne raat bhi KHwabon mein ek shahr sajaya tha

  Source:

  • Book : shab khuun (44) (rekhta website) (Pg. 52)
  • Edition : 1970
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY