habs ka haal sunane ko suKHan mangti hai
habs kā haal sunāne ko suḳhan māñgtī hai
dar nahīñ māñgtī dīvār dahan māñgtī hai
mausam-e-hirs vo aayā hai ki har shāḳh-e-shajar
phuul do-chār nahīñ saarā chaman māñgtī hai
jism kartā hai talab raat ga.e jab ārām
ruuh us vaqt 'ibādat kī thakan māñgtī hai
haath kyoñ baḌh ke charāġhoñ ko nahīñ lau dete
aañkh kyoñ shaam ke sūraj se kiran māñgtī hai
tujh se ye kis ne kahā Dar hai 'ibādat kī asaas
ye to be-lāg lagī aur lagan māñgtī hai
vo batā.eñ ki hai ehsās kī qaumiyyat kyā
shā'irī jin kā ye kahnā hai vatan māñgtī hai
habs ka haal sunane ko suKHan mangti hai
dar nahin mangti diwar dahan mangti hai
mausam-e-hirs wo aaya hai ki har shaKH-e-shajar
phul do-chaar nahin sara chaman mangti hai
jism karta hai talab raat gae jab aaram
ruh us waqt 'ibaadat ki thakan mangti hai
hath kyon baDh ke charaghon ko nahin lau dete
aankh kyon sham ke suraj se kiran mangti hai
tujh se ye kis ne kaha Dar hai 'ibaadat ki asas
ye to be-lag lagi aur lagan mangti hai
wo bataen ki hai ehsas ki qaumiyyat kya
sha'iri jin ka ye kahna hai watan mangti hai
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 144)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.