Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

habs ke aalam mein mahbas ki faza bhi kam nahin

Rais Amrohvi

habs ke aalam mein mahbas ki faza bhi kam nahin

Rais Amrohvi

MORE BYRais Amrohvi

    habs ke aalam meñ mahbas fazā bhī kam nahīñ

    rauzan-e-dīvār-e-zindāñ havā bhī kam nahīñ

    shorish-e-zanjīr-e-pā par haiñ agar pābandiyāñ

    halke halke jumbish-e-zanjīr-e-pā bhī kam nahīñ

    gar sar-e-maqtal na ho zikr-e-butāñ hausla

    hujra-e-tārīk meñ yād-e-ḳhudā bhī kam nahīñ

    rahrav-e-shab kyuuñ charāġh-e-mah se daryūza-garī

    raat añdherī ho to jugnū ziyā bhī kam nahīñ

    laakh mohkam ho hisār-e-marhabī-o-antarī

    ġhāziyoñ bāzū-e-ḳhaibar-kushā bhī kam nahīñ

    ahd-e-gul se sāzish-e-bād-e-ḳhizāñ bhī kam na thī

    shāḳh-e-gul se sozish-e-barq-e-balā bhī kam nahīñ

    kyā huā gar vā.iz-o-mullā ke dil haiñ be-charāġh

    gosha-e-masjid meñ nanhā diyā bhī kam nahīñ

    lazzat-e-bāda hai jāñ-parvar magar ai ahl-e-zauq

    zahr-e-ashk-o-qatra-e-ḳhūñ mazā bhī kam nahīñ

    habs ke aalam mein mahbas ki faza bhi kam nahin

    rauzan-e-diwar-e-zindan ki hawa bhi kam nahin

    shorish-e-zanjir-e-pa par hain agar pabandiyan

    halke halke jumbish-e-zanjir-e-pa bhi kam nahin

    gar sar-e-maqtal na ho zikr-e-butan ka hausla

    hujra-e-tarik mein yaad-e-KHuda bhi kam nahin

    rahraw-e-shab kyun charagh-e-mah se daryuza-gari

    raat andheri ho to jugnu ki ziya bhi kam nahin

    lakh mohkam ho hisar-e-marhabi-o-antari

    ghaziyon ka bazu-e-KHaibar-kusha bhi kam nahin

    ahd-e-gul se sazish-e-baad-e-KHizan bhi kam na thi

    shaKH-e-gul se sozish-e-barq-e-bala bhi kam nahin

    kya hua gar waiz-o-mulla ke dil hain be-charagh

    gosha-e-masjid mein nanha sa diya bhi kam nahin

    lazzat-e-baada hai jaan-parwar magar ai ahl-e-zauq

    zahr-e-ashk-o-qatra-e-KHun ka maza bhi kam nahin

    Source:

    Hikayat-e-ne (Pg. 59)

    • Author: Rais Amrohvi
      • Edition: 1975
      • Publisher: Rais Acadami, Garden Est, krachis
      • Year of Publication: 1975
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now