Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

had-e-imkan se aage apni hairani nahin jati

Munawwar Lakhnavi

had-e-imkan se aage apni hairani nahin jati

Munawwar Lakhnavi

MORE BYMunawwar Lakhnavi

    had-e-imkāñ se aage apnī hairānī nahīñ jaatī

    nahīñ jaatī nazar pā-ba-jaulānī nahīñ jaatī

    lab-e-ḳhāmosh sāhil se sukūñ dars miltā hai

    magar amvāj-e-dariyā pareshānī nahīñ jaatī

    jahāñ pahle kabhī sab gosh-bar-āvāz rahte the

    vahāñ bhī ab mirī āvāz pahchānī nahīñ jaatī

    haqīqat kuchh to apnī aabrū paas ho tujh ko

    hazāroñ pairahan haiñ phir bhī uryānī nahīñ jaatī

    nahīñ ta.azīm ke laa.eq nahīñ takrīm ke qābil

    vo dar jis taraf ḳhud khiñch ke peshānī nahīñ jaatī

    sukūñ hotā to hai phir bhī sukūñ hāsil nahīñ hotā

    ki jaane tarah apnī pareshānī nahīñ jaatī

    had-e-imkan se aage apni hairani nahin jati

    nahin jati nazar ki pa-ba-jaulani nahin jati

    lab-e-KHamosh sahil se sukun ka dars milta hai

    magar amwaj-e-dariya ki pareshani nahin jati

    jahan pahle kabhi sab gosh-bar-awaz rahte the

    wahan bhi ab meri aawaz pahchani nahin jati

    haqiqat kuchh to apni aabru ka pas ho tujh ko

    hazaron pairahan hain phir bhi uryani nahin jati

    nahin tazim ke laeq nahin takrim ke qabil

    wo dar jis ki taraf KHud khinch ke peshani nahin jati

    sukun hota to hai phir bhi sukun hasil nahin hota

    ki jaane ki tarah apni pareshani nahin jati

    Source:

    Mujalla Dastavez (Pg. 137)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2013-14
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now