had se baDha jo zom mah-o-aftab mein
had se baḌhā jo zo'm mah-o-āftāb meñ
sūrat tirī banā.ī ḳhudā ne javāb meñ
nāzāñ na ho tū apne sitāroñ pe ai falak
haiñ dafn āftāb hazāroñ turāb meñ
hai kaun se gunāh kī ai shaiḳh ye sazā
kaaTī hai 'umr tū ne jo fikr-e-azāb meñ
āñkhoñ se ab pilā ke uḌā hosh sāqiyā
Daalā thā kis se pūchh ke paanī sharāb meñ
paḌhtā huuñ maiñ namāz sadā dil meñ jhāñk kar
saarī haiñ sūrateñ mire dil kī kitāb meñ
jannat meñ mai-gusār jahannum meñ shaiḳh jī
ġhalatī kahīñ huī hai farishto hisāb meñ
piirī meñ rog 'ishq kā mat paal ai 'sadā'
karnā thā dost kaam ye 'ahd-e-shabāb meñ
had se baDha jo zo'm mah-o-aftab mein
surat teri banai KHuda ne jawab mein
nazan na ho tu apne sitaron pe ai falak
hain dafn aaftab hazaron turab mein
hai kaun se gunah ki ai shaiKH ye saza
kaTi hai 'umr tu ne jo fikr-e-azab mein
aankhon se ab pila ke uDa hosh saqiya
Dala tha kis se puchh ke pani sharab mein
paDhta hun main namaz sada dil mein jhank kar
sari hain suraten mere dil ki kitab mein
jannat mein mai-gusar jahannum mein shaiKH ji
ghalati kahin hui hai farishto hisab mein
piri mein rog 'ishq ka mat pal ai 'sada'
karna tha dost kaam ye 'ahd-e-shabab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.