Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haden baDhne lagi thi tirgi ki

Ankit Maurya

haden baDhne lagi thi tirgi ki

Ankit Maurya

MORE BYAnkit Maurya

    hadeñ baḌhne lagī thī tīrgī

    kamī jab ho ga.ī thī raushnī

    ḳhudā batā kis baat pe ye

    sazā ham ko milī hai zindagī

    koī kartā nahīñ hai intizār ab

    zarūrat bhī nahīñ paḌtī ghaḌī

    kareñ duniyā jahāñ fikr kyoñ ham

    hamārī umr hai āvārgī

    ham ik muddat se ro.e rahe haiñ

    chukānī paḌ rahī qīmat hañsī

    ḳhushī meñ yaad aa.ī ḳhudā

    jab aayā ġham usī bandagī

    maiñ ab har chiiz se uktā chukā huuñ

    mujhe mat do duā.eñ zindagī

    haden baDhne lagi thi tirgi ki

    kami jab ho gai thi raushni ki

    KHuda tu hi bata kis baat pe ye

    saza hum ko mili hai zindagi ki

    koi karta nahin hai intizar ab

    zarurat bhi nahin paDti ghaDi ki

    karen duniya jahan ki fikr kyon hum

    hamari umr hai aawargi ki

    hum ek muddat se roe ja rahe hain

    chukani paD rahi qimat hansi ki

    KHushi mein yaad na aai KHuda ki

    jab aaya gham usi ki bandagi ki

    main ab har chiz se ukta chuka hun

    mujhe mat do duaen zindagi ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now