Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haden phailin nazar ki phir bhi kam-bini nahin jati

Ijtiba Rizvi

haden phailin nazar ki phir bhi kam-bini nahin jati

Ijtiba Rizvi

MORE BYIjtiba Rizvi

    hadeñ phailīñ nazar phir bhī kam-bīnī nahīñ jaatī

    ki har sūrat abhī ek aañkh se dekhī nahīñ jaatī

    zamīn-e-dil bahut kuchh narm kar be-qarārī ne

    magar ham haiñ isī ehsās saḳhtī nahīñ jaatī

    hayāt-e-jāma-zeb aur nau-ba-nau jaame magar kyā hai

    ki is barbād-sāmāñ tunuk-raḳhtī nahīñ jaatī

    tajallī be-naqāb aur kor āñkheñ kyā qayāmat hai

    ki sūraj sāmne hai aur siyah-baḳhtī nahīñ jaatī

    mirā zikr-e-vafā likh kar mo.arriḳh ye bhī likhtā hai

    ye ik rasm-e-kuhan thī ab kahīñ bartī nahīñ jaatī

    maiñ kyā muñh le ke aa.uuñ aap ke ā.īna-ḳhāne meñ

    ye sūrat aisī bigḌī hai ki pahchānī nahīñ jaatī

    tasavvur se bhī aage justujū raah jaatī hai

    vahāñ baat lekin phir yahāñ laa.ī nahīñ jaatī

    takalluf-bar-taraf rasm-e-muravvat tah karo 'rizvī'

    mohabbat aap hotī hai mohabbat nahīñ jaatī

    haden phailin nazar ki phir bhi kam-bini nahin jati

    ki har surat abhi ek aankh se dekhi nahin jati

    zamin-e-dil bahut kuchh narm kar di be-qarari ne

    magar hum hain isi ehsas ki saKHti nahin jati

    hayat-e-jama-zeb aur nau-ba-nau jame magar kya hai

    ki is barbaad-saman ki tunuk-raKHti nahin jati

    tajalli be-naqab aur kor aankhen kya qayamat hai

    ki suraj samne hai aur siyah-baKHti nahin jati

    mera zikr-e-wafa likh kar moarriKH ye bhi likhta hai

    ye ek rasm-e-kuhan thi ab kahin barti nahin jati

    main kya munh le ke aaun aap ke aaina-KHane mein

    ye surat aisi bigDi hai ki pahchani nahin jati

    tasawwur se bhi aage justuju ki rah jati hai

    wahan ki baat lekin phir yahan lai nahin jati

    takalluf-bar-taraf rasm-e-murawwat tah karo 'rizwi'

    mohabbat aap hoti hai mohabbat ki nahin jati

    Source:

    (Pg. 221)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now