Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hadis-e-jam chale qissa-e-subu nikle

Saeed Afsar

hadis-e-jam chale qissa-e-subu nikle

Saeed Afsar

MORE BYSaeed Afsar

    hadīs-e-jām chale qissa-e-subū nikle

    kisī bhī tarah sahī terī guftugū nikle

    maiñ tesha-zan huuñ tire vāste yahī bas hai

    ye aarzū kise hai ki aarzū nikle

    na jaane kyoñ mirā lahja badalne lagtā hai

    jo dostoñ meñ kabhī terī guftugū nikle

    diloñ baat bhī niklī nasīm-e-āvāra

    hamāre ishq ke qisse bhī kū-ba-kū nikle

    ye jānte haiñ ki shahr meñ nahīñ hai magar

    hai phir bhī aas kisī moḌ par se nikle

    dil-e-gudāz kartā huuñ ehtirām itnā

    maiñ chuum letā huuñ jis aañkh se lahū nikle

    ḳhudā ke fazl se maiñ kam hunar na thā 'afsar'

    sitam to ye hai ki ahbāb aib-jū nikle

    hadis-e-jam chale qissa-e-subu nikle

    kisi bhi tarah sahi teri guftugu nikle

    main tesha-zan hun tere waste yahi bas hai

    ye aarzu hi kise hai ki aarzu nikle

    na jaane kyon mera lahja badalne lagta hai

    jo doston mein kabhi teri guftugu nikle

    dilon ki baat bhi nikli nasim-e-awara

    hamare ishq ke qisse bhi ku-ba-ku nikle

    ye jaante hain ki tu shahr mein nahin hai magar

    hai phir bhi aas kisi moD par se tu nikle

    dil-e-gudaz ka karta hun ehtiram itna

    main chum leta hun jis aankh se lahu nikle

    KHuda ke fazl se main kam hunar na tha 'afsar'

    sitam to ye hai ki ahbab aib-ju nikle

    Source:

    Shola-e-Gul Se Rang-e-Shafaq Tak (Pg. 34)

    • Author: Saeed Afsar
      • Publisher: Saeed Afsar
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now