Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hafiz wasl mein kuchh hijr ka KHayal na tha

Hafeez Jaunpuri

hafiz wasl mein kuchh hijr ka KHayal na tha

Hafeez Jaunpuri

MORE BYHafeez Jaunpuri

    'hafīz' vasl meñ kuchh hijr ḳhayāl na thā

    vafūr-e-aish meñ andesha-e-ma.āl na thā

    burā kyā hai baratnā purānī rasmoñ

    kabhī sharāb piinā bhī kyā halāl na thā

    nayā hai ab ke baras kuchh bahār aalam

    junūñ zor to aisā guzishta-sāl na thā

    ḳhayāl tum ne dilāyā jo guzrī bātoñ

    malāl ab vo huā pahle jo malāl na thā

    vo din haiñ yaad ki barsoñ thī ḳhud-farāmoshī

    ye dhun kisī thī apnā bhī kuchh ḳhayāl na thā

    tum aa ga.e ki mirī jaan bach ga.ī varna

    kuchh aaj maut ke aane meñ ehtimāl na thā

    koī to vaj.h-e-masarrat hai go kaheñ na kaheñ

    ki yuuñ 'hafīz' chehra kabhī bahāl na thā

    'hafiz' wasl mein kuchh hijr ka KHayal na tha

    wafur-e-aish mein andesha-e-maal na tha

    bura hi kya hai baratna purani rasmon ka

    kabhi sharab ka pina bhi kya halal na tha

    naya hai ab ke baras kuchh bahaar ka aalam

    junun ka zor to aisa guzishta-sal na tha

    KHayal tum ne dilaya jo guzri baaton ka

    malal ab wo hua pahle jo malal na tha

    wo din hain yaad ki barson thi KHud-faramoshi

    ye dhun kisi ki thi apna bhi kuchh KHayal na tha

    tum aa gae ki meri jaan bach gai warna

    kuchh aaj maut ke aane mein ehtimal na tha

    koi to wajh-e-masarrat hai go kahen na kahen

    ki yun 'hafiz' ka chehra kabhi bahaal na tha

    Source:

    Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-49 Page Number-98)

    • Author: Tufail Ahmad Ansari
      • Edition: 2010
      • Publisher: Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now